40Agar rakh sako to ek nishaani hun main,
aur kho do to sirf ek kahaani hun main,
rok paaye na jisko yeh saari duniya ,
woh ek boond aankhon ka paani hun main..
Hindi |
10Muskuraane ki baat karte ho,
kis zamaane ki baat karte ho,
ik nivaala jutaana mushkil hai,
ghar banaane ki baat karte ho.. - Ashok Verma
Hindi |
60Bahut kam hain zamaane mein log aise,
chaahat ki jinhe pehchaan hoti hai,
soch lena kisi pe mar mitne se pehle ki..
lutaane ke liye ek hi jaan hoti hai.
Hindi |
31Jaane kyon is jahaan mein aisa hota hai,
khushi jise hoti hai wahi rota hai,
umar bhar saath nibha na sake jo,
jaane kyon pyaar usi se hota hai.
Hindi |
90Unhe fursat nahi humse do baat karne ki,
woh to apna jahaan basaaye baithe hain,
hum karte hain bahut koshish unke basaaye jahaan mein jaane ki,
par woh dil pe apne Busy lagaaye baithe hain..
Hindi |
10Sagar se dosti to kinaare bhi nahi karte
- Vikas Umrao
Aajkal to wafa humse hamare bhi nahi karte
Ek tumse thi ummeed,
So wo bhi aaj toot gayi…
Chup-chap beh jaate hain,
Kisi se sikayat mere aansu bechaare nahi karte…..
Hindi |
21Zindagi ke sath sath maut ko gale lagakar chalna
gairon se puchna aur apna bhi naam batakar chalna
dekhkar gairon ko mayus khud mayus na ho jana
khud bhi hanse ki koshish karna, auron ko bhi hasakar chalna
mayus hokar na baithana, Zindagi imtahan leti hai
is haqiqat ko samajhana, sabhi ko samjhakar chalna
dasatak na de de kahin dil par yaadon ke farishte
rahon mein ghuzare hue palon ke nishayan mitakar chalna
tajjub hai! ab bhi tum ho yun mujhse juda juda
mere humnafaz, habib mere zara kareeb aakar chalna
Urdu |
64Kyon yaad aati hai tumhaari,
kyun palke bheeg jaati hai humaari,
jahaan-jahaan bhi gire humaare aansoo,
kyun tasveer ban jaati hai tumhaari..
Hindi |
42Ek hi zakhm nahi sara badan zakhmi hai..
Dard hairan hai ke uthun to kahan se uthun..
Urdu |
61Haathon se gir gayi lakeer kahin,
bhool gaye hum apni taqdeer kahin,
agar tum ko mile kahin to uthaa lena,
mere hisse ki khushiyaan apne haathon mein sajaa lena.
Hindi |
40Mayoos hu sochkar, kuch logo ko apna na bana saka.
Imaarat to banadi maine par use ghar na bana saka.
Hindi |
80Waqt guzrega hum bikhar jaayenge,
kaun jaane ki hum kidhar jaayenge,
hum to ek parchaai hain,
yaad rakhna dost jahaan tanhaai mili
wahaa hum nazar aayenge..
Hindi |
♥ Recommended for You »
- De Dua Ho Dard Kam Yeh Ranjish E Safar Khatam Lamhe To Hain Simat ..
- One Who Does Not Know When To Die Does Not Know ..
- क़तरा मिला समंदर से समंदर हो गया आशिक मिला जो मौत ..
- Santa Ladki Ko Chedte Hue Hor Sohneyo Ki Haal Aa ?? Ladki Gusse ..
- Should The Enemy Dare To Invade Our Country Annihilate Them To ..
- Like Birds Let Us Leave Behind What We Don’t Need To ..
- Bukkaan Wich Nahi Paani Rehnde Jadon Baddal Meeh Varsaaunde Ne Aksar Bhul ..
- Tintumon Dad There Is A Small PTA Meeting At My ..
- Kuch Aisi Be Sakooni Hai Wafa Ki Sarzameeno Mein Jo Ehl E Muhabbat Ko ..
- Main Lafzon Mein Kuch Bhi Izhar Nahi Karti Iska Matlab ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.