369दिल को जला कर दी है ज़माने को रौशनी
जुगनू पकड़ कर हमने उजाला नहीं किया ..
Hindi |
10Toot na jaaye tujh par mere pyaar ki shiddat Faraz
tu samandar ki tarha khamosh na raha kar..
Urdu |
30Dukhon me mere daaman ko yun thaam rakha hai Mohsin
ke jaise un ka bhi mere siwa aur koi nahi..
Urdu |
31Mujhe kyun rokte ho uski pooja se
Usay koi nahi rokta ke woh devta na lage..
Urdu |
50Mujhe dard-e- ishq ka mazaa maalum hai,
Dard-e-dil ki inteha maalum hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maalum hai..
Urdu |
20Jo mere pyaar mein shiddat thi kal, woh aaj nahi
tumhara weham hai aur weham ka ilaaj nahi..
Urdu |
10Hum mohabbat may bhi toheed ke kaayal rahe Faraz
Ek hi shaks ko mehboob banaye rakhaa..
Urdu |
10Nahi hai mere mukaddar mein roshni na sahi,
yeh khidki kholo zara subha ki hawa hi lage..
Urdu |
65हवा का काम है जलते चिरागों को बुझाने का,
हमारा फर्ज है अंधियारे में दीपक जलाने का,
हमें महसूस करना हो तो आंखें बंद कर लेना,
पता कुछ भी नहीं होता फकीरों के ठिकाने का
- दीपक गुप्ता, फरिदाबाद (हरियाणा)
Hindi |
20Kabhi kuch to kisi ke waaste dil se dua kar lo,
yahi insaaniyat ka farz hai, tum bhi ada kar lo,
koi bhi shakhs duniya mein tumhein chhota nazar na aaye,
tum apne sochne ka daayra itna bada kar lo,
humaari apni fitrat hai wafa karna, wafa kar lo,
tumhari apni marzi hai wafa karo, ya jafa kar lo,
ye duniya khubsoorat hai yaqeen aa jaayega tumko,
kisi se dil lagaane ki kabhi koi khata kar lo..
Hindi |
21Aye mere humnashin ab kahin aur chal
iss chaman mein humara guzara nahin
baat hoti gulon ki to seh lete hum
ab to kanton pe bhi hak hamara nahin
ji mein ata hai ki tera sazda karun
iss tarhan maine tujhko pukara nahin
thokarein yun khilane se kya fayda
saaf kehdo ki milna gavara nahin
ehle gulshan ko khoon ki zarurat padi
sabse pehle humari gardan kati
phir bhi kehte hain humko ye ehle chaman
ye chaman hai humara tumhara nahin
aaj aaye ho kal tum chale jaoge
ye mohabbat ko apni gavara nahin
umr bhar ka sahara bano to bano
char din ka sahara sahara nahin
zalimon apni kismat pe nazan na ho
daur badlega ye waqt ki baat hai
wo yakinan sunega sadayein meri
kya tumhara khuda hai humara nahin
- zalimon
Hindi |
00Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
main door tha zaroor, magar raaston mein tha..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- One Small Crack Does Not Mean That You Are Broken It ..
- Tum Milo Na Milo Milne Ka Gham Nahi Tum Pas Say ..
- Never Play With The Feelings Of Others Because You May Win ..
- आतंक के ठेकेदारों का हमें अंत चाहिए रहे चमन में ..
- श्रद्धा से समर्पित हो लोक कल्याण हित हर कार्य भला ..
- अगर तू है उम्दा सड़कें बनाने में दिखा कुछ हुनर ..
- Teacher Please Pay A Little Attention Student I Am Paying As ..
- Har Ek Jazbaat Ko Zubaan Nahi Milti Har Nek Aarzoo Ko ..
- The Amount Of Money That Is In Your Bank At The ..
- Give An Inch And They Ll Take A Mile ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.