20Hum nahi ae baad-e-saba teri karam ke mohtaaj
hum to khushbu hain bikharne ka hunar rakhte hain..
Urdu |
70Woh ajnabi hai jaane kab chor de
hawa ka kiya pata kab rukh mor de
hum to har ek ke dl ko khush rakhte hain
magar kisi ka kiya pata ke kab dil tor de..
Urdu |
01Main ek aansu hi sahi hun buhat anmool magar
yun palkon se laga kar mujhe matti mein na milaa..
Urdu |
10Zindagi ke kisi mor par wo jaan jayenge Faraz
ye par khalooos log bahut naayab hote hain..
Urdu |
50Main Ne Dekha Hay Bahaaron Mein Chaman Ko Jalte
Hay Koi Khawaab Ki Taabeer Bataane Waala..
Urdu |
20पगड़ी अपनी सँभालिएगा 'मीर'
और बस्ती नहीं ये दिल्ली है ..
Hindi |
20Kuch aisi be-sakooni hai wafa ki sarzameeno mein
jo ehl-e-muhabbat ko sada be-chein rakhti hai..
Urdu |
50Maangi thi dua aashiyane ki
chal padi aandhiya zamaane ki
mere gham koi na samajh saka
kyunki meri aadat thi MUSKURANE ki..
Urdu |
10Ek umar ki judai mera naseeb kar ke
Woh to chal diya hai baatein ajeeb kar ke
Tarz-e-wafa ko us ki kya naam dun
Khud door ho raha hai mujhe qareeb kar ke..
Urdu |
30Abhi sooraj nahi dooba zaraa si shaam hone do
main khud hi laut jaaoonga, mujhe naa-kaam hone do
mujhe badnaam karne ke bahaane dhoondte ho kyun
main khud badnaam ho jaaoonga, pehle naam hone do
abhi mujhko nahi karna hai, aitraaf-e-shikast
main sab tasleem kar loonga, ye charcha aam hone do
meri hasti nahi anmol, phir bhi bik nahi sakta
wafaaein bech lena per zaraa neelaam hone do
naye aaghaz main hai hosla kyun haar baithe ho
jeet jaaoge sab kuch zaraa anjaam hone do..
Urdu |
30तुम मुखातिब भी हो, क़रीब भी हो
तुम को देखूं कि तुम से बात करूँ ..
- फ़िराक़ गोरखपुरी
Tum mukhaatib bhi ho, kareeb bhi ho
tum ko dekhun ki tum se baat karun..
- Firaq Gorakhpuri
Hindi |
10Tujhe ye shauq ke mohabbat ki bheekh mangoon main
meri ye zidd ke taqaza mera usool nahin..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Santa Opens The Door Of His Car When Suddenly Another Car ..
- Na Gila Hai Koi Halat Se Na Shikayat Kisi Ki Zaat ..
- A Scientist Cannot Be A President But Kalam Did It A ..
- It S Just Meaningless To Expect Ur Friend To B Of Ur ..
- यह संसार प्रकृति के नियमों के अधीन हैं और परिवर्तन एक ..
- Koi Chiraag Jalaata Hai Deewane Ke Liye Koi Chiraag Jalaata Hai ..
- शहीदों की चिताओं पर जुड़ेंगे हर बरस मेले वतन पर मरनेवालों ..
- Water Which Is Too Pure Has No Fish Zen Proverb ..
- Judge Why Are You Arrested ? Santa For Shopping Early Judge Well That’s ..
- Chaahta Hun Tujhe Pyaar Dun Teri Dosti Par Apni Zindagi Waar ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.