हम ना होते तो किसी और के चर्चे होते ,
हलक़त-ए-शहर तो कहने को फ़साने मांगे ..
- अहमद फ़रज़

Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey,
Halqat*-e-sheher to kehn e ko fasaaney mangey..
- Ahmed Faraz

00

Hindi |

mani_46_shayari.jpg

Isse pahle ke hawaa shor machaane lag jaaye,
Mere Allah, Meri khaak tthikaane lag jaaye

Ghere rahte hai.n kaii khwaab meri aankho.n ko,
Kaash kuchh der mujhe neend bhi aane lag jaaye

Saal bhar Eid ka rastaa nahi dekha jaata,
Woh gale mujhse kisi aur bahane lag jaye

- Dr. Rahat Indori

10

Urdu |

Apni zindagi tere naam kar doon
khushiyaan tere liye qurbaan kar doon
chahta hoon ke tu zinda rahe
teri maut apne naam kar doon..

102

Urdu |

Mohabaat mukkadar hai ek khwab nahi
yeh wo adaa hai jis mein sab kaam-yaab nahi
jinhe panaah mili ungliyo pe gin lo unhe
jo katal hue unka kuch hisaab nahi..

20

Urdu |

Woh hairaan hain humaare zabt pe keh do qaatil inse
jo daaman pe nahi girta woh aansoo dil pe girta hai..

20

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

पगड़ी अपनी सँभालिएगा 'मीर'
और बस्ती नहीं ये दिल्ली है ..

20

Hindi |

Phir paish-e-nazar surat-e-mehtab hai koi
ya meri nigahon mein naya khawab hai koi
yeh baat garaan khawab ko ab kaun bataye
tere liye is raat mein be-khawab hai koi
palkon pe jo roshan hai sar-e-sham-e-tamanna
woh ashk nahi gohar-e-nayaab hai koi
yeh sirf karishma hai meri chashm-e-talab ka
sehra mein kahan gulshan-e-shadaab hai koi
nawaqif-e-adaab-e- mohabbat ko khabar kya
kab se raah-e-umeed mein betaab hai koi..

00

Urdu |

Hujoom-e-gham meri fitrat badal nahi sakta
main kya karoon, meri aadat hai muskuraane ki..

81

Urdu |

Ab jis ke bhi dil mein aae wohi paae roshni
Hum ne to dil jala kar sar-e-aam rakh diya..

00

Urdu |

Ajab baat hai woh mujhse khafa bhi raha
woh doston se mera haal poochta bhi raha
ajeeb rang mein ki usne guf-t-gu mujhse
labon pe chup thi nighaon se bolta bhi raha..

20

Urdu |

Yehi mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhe
judaaiyon ko bhi chaaha hai qurbaton ki tarha..

21

Urdu |

shayari.jpg

Ss ki qurbat main kuch nahi kaha maine
takti reh gai mujhko chandni sard raaton ki..

01

Urdu |

Recommended for You »

  1. Never Let Anyone Silence Your Voice Jurnee Smollett ..
  2. Teacher Beta Bataao To TAMSO MAA JYOTIR GAMAYA Shlok Ka ..
  3. मिल जाती है कितनो को ख़ुशी मिट जाते हैं कितनो ..
  4. Sense Gratification Means We Are Using The Instrument Human Body Meant For ..
  5. Hosla Karte Hain Jeene Ka Magar Hota Nahi Zindagi Ka Yeh ..
  6. Hanju Tera Hove Te Akh Meri Hove Dil Tera Hove Te ..
  7. Ye Rakh Rakhao Muhabbat Seekha Gai Usko Woh Rooth Kar Bhi ..
  8. Two Astrophysicists Are Discussing Their Research In A Bar One ..
  9. Nine Lessons Of Life Learn 2 Care Learn 2 Cry Learn ..
  10. Ek Aurat Ne 5 Saal Ke Bache Ko Cigaret Pite Dekha ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.