73Khuli jo aankhein to manzar ajeeb tha,
dard tha magar woh dil ke kareeb tha,
jinhe hum dhoondte the aathon ki lakiron mein,
woh to kisi aur ka naseeb tha..
Hindi |
21Zindagi ke sath sath maut ko gale lagakar chalna
gairon se puchna aur apna bhi naam batakar chalna
dekhkar gairon ko mayus khud mayus na ho jana
khud bhi hanse ki koshish karna, auron ko bhi hasakar chalna
mayus hokar na baithana, Zindagi imtahan leti hai
is haqiqat ko samajhana, sabhi ko samjhakar chalna
dasatak na de de kahin dil par yaadon ke farishte
rahon mein ghuzare hue palon ke nishayan mitakar chalna
tajjub hai! ab bhi tum ho yun mujhse juda juda
mere humnafaz, habib mere zara kareeb aakar chalna
Urdu |
90Unhe fursat nahi humse do baat karne ki,
woh to apna jahaan basaaye baithe hain,
hum karte hain bahut koshish unke basaaye jahaan mein jaane ki,
par woh dil pe apne Busy lagaaye baithe hain..
Hindi |
40इससे ज़्यादा शर्मसार
क्या होगा मोदी हिन्दुस्तान
8 साल की मासूम के खिलाफ
जम्मु के कुत्ते बने हैवान
और इसके ऊपर वकील - पुलिस
बेच खा गये शर्म-ओ-ईमान
यह वो धर्म जाती के पिस्सू कीड़े
जो अपनी माँ का भी कर दें आपमान ..
Hindi |
91Koi aankhon se baat kar leta hai,
koi aankhon mein mulaaqat kar leta hai,
bada mushkil hota hai jawaab dena,
jab koi khaamosh reh kar sawaal kar leta hai.
Hindi |
60Bahut ajeeb hain yeh bandishen mohabbat ki,
Na us ne qaid me rakha, na hum farar hue.
Urdu |
20समेट लो इन हस्ते हुए नाज़ुक पलों को
ना जाने यह लम्हे कल हों ना हों
हों भी यह लम्हे तो क्या मालूम
शामिल उन पलों में हम हों ना हों ....
Samet lo in haste hue naazuk palon ko
na jaane yeh lamhe kal hon na hon
hon bhi yeh lamhe to kya maaloom
shaamil un palon mein hum hon na hon..
Hindi |
54Meri nazron ko aaj bhi talaash hai teri,
bina aapke khushi bhi udaas hai meri,
Khuda se maanga hai to sirf itna,
marne se pehle aapse mulaqaat ho meri..
Urdu |
40मैं आज भी उन्ही रास्तों से गुज़रता हूँ
जिन पर कभी हम-तुम साथ-साथ चला करते थे..
Main aaj bhi unhi raaston se guzartaa hun
jin par kabhi hum-tum saath-saath chala karte the..
I still follow those pathways
which we use to cover together..
Hindi |
20Aa bhi jaao ki zindagi kam hai,
tum nahin ho to har khushi kam hai !
Vaada karke yeh kaun aaaya nahin,
sheher mein aaj roshni kam hai !
Jaane kya ho gaya hai mausam ko,
dhoop zyaada aur chandni kam hai !
Aaina dekh kar khayaal aaya,
aaj kal unki dosti kam hai !
Tere dum se hi main mukammal hoon,
Bin tere meri zindagi kam hai..
Hindi |
32Na gila hai koi halat se
na shikayat kisi ki zaat se
khud hi saare warq juda hue
meri zindagi ki kitaab se..
Urdu |
40Yeh chaand bhi dekho kya ajeeb sitam dhaata hai,
bachpan mein yeh mama
aur jawaani mein sanam nazar aata hai,
kehne ko to hain chaand mein daag bahut,
aashiqo ko fir bhi sunder nazar aata hai,
chup jaata hai jab bhi yeh baadlo ki oat mein,
deedar-e-husn paane ko har ek machal jaata hai,
laakho taaro se bhari hai aasmaani chaadar phir bhi,
chaand to har dum tanha hi nazar aata hai.....
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Behosh Aadmi Ko Dekh Kar Dr Yeh Mar Chuka Hai Tabhi ..
- 3 Chor Billu Sonu Aur Santa Police Se Chhup Ke 3 ..
- Good Swimmers Are Often Drowned ..
- If You Want To Die Happily Learn To Live; If You ..
- Too Often We Underestimate The Power Of A Touch A Smile ..
- True Bravery Is To Arrive Home Fully Drunk A Late Night Out & And And Mom ..
- Santa 5 Min Mein Paper Dekar Examination Hall Se Baahar ..
- Evil May Perform A Hundred Dance But Is Never Wed ..
- Two Persons Are Drowning In A River One Is Whom You ..
- Santa Doctor Saab Mujhe Chot Lag Gayi Hai Doctor Bahut Gehri ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.