20Kiss-se teri nazar ne sunaaye na phir kabhi
hum ne bhi dil ke daag dikhaaye na phir kabhi
ae yaad-e- dost aaj tu ji bhar ke dil dukhaa
shaayad ye raat hijr ki aaye na phir kabhi..
Urdu |
10Gaa main bhi sakta hun par aawaz nahi hai
- Shubham
baja main bhi sakta hun par koi taal nahi hai
itna gurur mat kar o tajmahal banaane wale
bana main bhi sakta hun par koi mumtaj nahi hai..
Hindi |
00Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
main door tha zaroor, magar raaston mein tha..
Urdu |
81Teri yaadein bhi tujh si zaalim hain Faraz
Jab dekhti hain tanha humein, sataane chali aati hain..
Urdu |
50Har roz kisi ka intezar rehta hai
har pal yeh dil bekarar rehta hai
kaise samjhayein duniya walon ko
ki chup rehne walon ko bhi pyaar hota hai..
Urdu |
10Toot na jaaye tujh par mere pyaar ki shiddat Faraz
tu samandar ki tarha khamosh na raha kar..
Urdu |
50Yun tera intezaar karta hun
jaise main tujhko yaad hun ab tak..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
61Kaash dil ki aawaaz mein itna asar ho jaye
hum aapko yaad karein aur aapko khabar ho jaye
aaj khuda se itni hi dua hai
aap jo bhi chaahein woh aapke naseeb mein ho jaye..
Urdu |
20Meri tabaahee ka ilzaam ab sharaab pe hai
Main aur karta bhi kia tum pe aa rahi thi baat..
Urdu |
10Nafraton ka nisaab pad kar mohabbaton ki kitaab likhna
bahut katthin hai khizaan ke maathey pe daastaan-e-gulaab likhna..
Urdu |
10Maang kabhi ulfat mein jaan bhi humse
hum teri kisi baat ko taalaa nahi karte
tasdeek jo karni hai to aa jao kisi shaam
hum tere bina ghar mein ujala nahi karte..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- लाहौर दे दिया खैरात में फिर भी कारगिल में साज़िश ..
- Bhala Hua Meri Matki Phoot Gayi Main To Paneeya Bharan Se ..
- In French Bon Jour Spanish Te Quirdo Italian Teamo Yugoslav Volim Te English Good ..
- Courage Is Not Simply One Of The Virtues But The Form ..
- Khuda Kare Aapko Khushiyan Hazaar Mile Mujhse Bhi Achcha Yaar Mile Aapki ..
- Burn Brightly Without Burning Out ..
- Don T Count What You Have Lost Just See What You Have ..
- और कुछ नहीं चाहिए बस एक मुस्कान ही काफी है ..
- May God Paint The Canvas Of Ur Life With The Most ..
- My Manner Of Living Is Plain And I Do Not ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.