50Roothe hi rahein mujhse ye manzoor hai lekin
yaaron usse samjhao mera shehar na chore..
Urdu |
20Aksar woh meri nazm ka unwaan raha hai
lekin woh meri mohabbat se anjaan raha hai
kuch kaha na kabhi is dar se ki bura maan na jaye
magar woh ab isii baat ka bura maan raha hai..
Urdu |
73Zakham dene ka andaaz kuch aisa hai
zakham dekar puchte hai ab haal kaisa hai
kisi ek se gila kya karna yaaron
saari duniya ka mijaaz ek jaisa hai..
Urdu |
20Lehron se milkar na woh beh sake na hum
ek dooje ke dil mein na woh reh sake na hum
jeet lete aasma ek din lekin, palkon ki khamoshi ko
honto se na woh keh sake na hum..
Urdu |
30Zakham itne gehre hain izhaar kya karein
hum khud nishana ban gaye hain waar kya karein
mar gaye hum magar khuli rahi aankhein
ab is se zyada unka intezaar kya karein..
Urdu |
10Taluq ab yahan kam hai mulaqatein hain bahut zyada
hajoom-e-shehar mein har shahks tanha ho gaya hai
main tujhse saath bhi to umar bhar ka chahta tha
so ab tujh se gila bhi umar bhar ka ho gaya hai..
Urdu |
20Woh hairaan hain humaare zabt pe keh do qaatil inse
jo daaman pe nahi girta woh aansoo dil pe girta hai..
Urdu |
50Main Ne Dekha Hay Bahaaron Mein Chaman Ko Jalte
Hay Koi Khawaab Ki Taabeer Bataane Waala..
Urdu |
00इत्तेफ़ाक़ रखते हैं आपसे
कि उर्दू हमें आती नहीं
पर इससे ये न समझें
कि उर्दू हमें भाती नहीं
Ittefaq rakhte hain aapse
ki urdu humein aati nahi
par isse yeh na samjhe
ki urdu humein bhaati nahi..
Hindi |
369दिल को जला कर दी है ज़माने को रौशनी
जुगनू पकड़ कर हमने उजाला नहीं किया ..
Hindi |
61Zindagi , main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
tu jahan mujhse kahegi main utar jaaoonga..
Hindi |
30Kar guzaarish khuda se 'abhi' tu apne liye,
ki jee le ek aur din tu kisi ke liye,
har nayi mushkil se kyun ghabrata hai tu,
ek umar guzarti hai tajurbon ke liye,
saaki ne band kiye maikadaa'n ke darwaaze,
paimaano ki zaroorat nahi nigaahon se peene ke liye,
furkat-e-yaar mein bekaraar hai 'abhi',
aur mausam bhi tayyaar hai barasne ke liye,
doosre ke girebaa'n mein jhaankta hai jo,
ek nazar rakhe apne girebaa'n ke liye bhi..
- Abhishek Tanwar
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Banta Kya Hua Santa Chup Kyun Hai ? Santa Aaj Mere Dost ..
- A Broken Egg Is Worth An Omelette Only ..
- तेरी बे इन्तेहाई कुछ तो कहर ढाएगी दुआ करता हूँ अमन ..
- The Person Who Says It Cannot Be Done Should Not Interrupt ..
- Boy Yamraj Ji Mujhe Waqt Se Pehle Kyun Utha Liya? Yamraj ..
- God Does Not Want Us To Lead A Miserable Life For ..
- Chala Gaya Tha Laut Ke Aaya Hun Aankhein Khol Main Tera ..
- If One Night A Big Fat Man Jumps In At ..
- The First Testicular Guard Was Used In Cricket In 1874 And The ..
- It S The New Year Eve Time To Cheer For The Old ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.