50Mujhe bhoolna mat, yaad rakhna.
meri wafa ka kuch khyaal rakhna
main phir aaonga naya zakhm khane ke liye
ek aur patthar sambhal kar rakhna..
Urdu |
21Mar kar bhi tha khaak na asudah huye aah!
Ae ishq na the ham tere anjaam se vaaqif.. - Nazeer Akbarabadi
Urdu |
20Ajab baat hai woh mujhse khafa bhi raha
woh doston se mera haal poochta bhi raha
ajeeb rang mein ki usne guf-t-gu mujhse
labon pe chup thi nighaon se bolta bhi raha..
Urdu |
00यह जो धुआं उठा है ख़ाक से
कह रहा भुजती आग से
हुस्न के दरवाज़े पे
दीवाने जलते रहेंगे ..🌷
Yeh jo dhuan utha hai khaak se
keh raha bhujti aag se
husn ke darwaaze pe
deewane jalte rahenge..
Hindi |
82Be-Faida hai Zeest main Ahbaab ka hajoom
Ho pekar-e-Khaloos to kaafi hai ek shakhs..
Urdu |
20Haath uthe hain magar lab pe dua koi nahi
ke ibadat bhi woh jis ke jaza koi nahi
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaz hai
aur mere barbad-e-dil mein sada koi nahi
aa ke ab taslim kar lain tu nahi to main sahi
kon manega ke hum mein bevafa koi nahi
waqt ne wo khak udai hai ke dil ke dasht se
qafile guzre hain phir bhi naqsh-e-pa koi nahi
khud ko yun mahasur kar baitha hun apni zaat mein
manzilen chaaron taraf hain rasta koi nahi
kaise raston se chale aur kis jagah pahunche ‘faraz’
ya hujum-e-dostan tha sath ya koi nahi
Urdu |
30Bichar kar khat bhi na likha udaas yaaron ne
kabhi kabhi ki adhoori mulaqaat se bhi gaye..
Urdu |
30Husn waale wafaa nahi karte
daulat mand log dua nahi karte
hum qalander mijaaz hain
kisi ke liye bad- dua nahi karte..
Urdu |
21Aaj fir tootengi tere ghar ki nazuk khirkiyan
aaj ek deewana tere shehar mein dekha gaya..
Urdu |
01Hai shauk-teen-safar bus aisa ke ek umar se hum ne
Manzil bhi nahi paayi, aur raasta bhi nahi badla..
Urdu |
10Khushboo teri dosti ki mujhe mehka jaati hai
teri har baat mujhe behka jaati hai
saans to bahut der leti hai aane mein
har saans se pehle teri yaad aa jati hai..
Urdu |
60Koi dikha ke roye, koi chupa ke roye
humein rulane wale, humein rula ke roye
marne ka maza to tab hai
jab qaatil bhi janaaze pe aa ke roye..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Bahut Tez Garmi Hai Saheb Kya Karein Aapko Dhoop Se Aur Bhikhari Ko ..
- If You Can T Celebrate My Death Better Not Cry ..
- Sense Gratification Distances Us From The Lord Who Is In The ..
- My Manner Of Living Is Plain And I Do Not ..
- One Had Better Die Fighting Against Injustice Than Die Like A ..
- चतुराई ना चतुर्भुज पाईये रे जन मन माधो सयों लाइए Chaturai ..
- My Smoking Might Be Bothering You But It S Killing Me ..
- Har Koi Pyaar Ke Liye Tadapta Hai Har Koi Pyaar Ke ..
- A Ladder Is There To Help Us Climb It Is Of ..
- Heap On The Wood The Wind Is Chill; But Let It Whistle ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.