Aksar woh meri nazm ka unwaan raha hai
lekin woh meri mohabbat se anjaan raha hai
kuch kaha na kabhi is dar se ki bura maan na jaye
magar woh ab isii baat ka bura maan raha hai..

20

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Woh aise ishq mein kaisa kamal rakhta hai
ki be-rukhi mein bhi mera khayaal rakhta hai
ajab nahi woh jahan bhar ko be-wafa samjhe
nazar mein meri wafa ki misal rakhta hai..

10

Urdu |

Rasam-e- duniya se hat ke adaawat karna
Na sahi mujh se mohabbat chalo nafrat karna
La sakon jis ki na mein taab, jise seh na saku
Mujh ko aab aisa koi zakhm inayat karma..

10

Urdu |

Mujhe dard-e- ishq ka mazaa maalum hai,
Dard-e-dil ki inteha maalum hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maalum hai..

50

Urdu |

Kaise kahein ke usko bhi hum se koi lagao hai
usne to hum se aaj tak koi gila nahi kiya..

30

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Jo ek lafz ki khushboo na rakh saka mehfooz
main uss ke hath main saari kitaab kya deta..

31

Urdu |

Hum sa aehl-e-dil tujhe kahan milega
jo tere sitam bhi sahe aur tujhe dua bhi de..

30

Urdu |

Hum dushmano ko bhi Pakeeza saza dete hein
Haath uthate nahi, nazron se Gira dete hein..

71

Urdu |

Maut apni na amal apna
kho gaya shorishe-geti mein karina apna

nakhuda door, hawa tez, karin kaame-nahang
waqt hai fenk de lehron mein safeena apna

arsa-e-dah ke hungaame tahe-khwaab sahi
garm rakh aatishe-pekaar se seena apna

saakiya ranj na kar jaag uthegi mehfil
aur kuch der utha rakhte hain peena apna

beshkeemat hain yeh gham haaye- mohabbat mat bhool
zulmate-yaas ko mat saunp khajeena apna.. - Faiz Ahmed Faiz

Details:
Amal - work
shorishe-geti - hue and cry of the world
karina - method
nakhuda - driver of boat
karin - near
kaame-nahang - mouth of crocodile
safeena - boat
arsa-e-dah - span of life
tahe-khwaab - not visible due to sleep
aatishe-pekaar - fire of struggle
haaye-mohabbat - sorrow of love
zulmate-yaas - despair alike darkness
khajeena - treasure

00

Urdu |

Hai shauk-teen-safar bus aisa ke ek umar se hum ne
Manzil bhi nahi paayi, aur raasta bhi nahi badla..

01

Urdu |

Tu chaand hai is zameen ka aur main sooraj
yahi wajah hai ke apne darmiyaan doori hai
rok na mujhko dekh zidd na kar
teri chaandni ke liye mera doobna zaruri hai..

20

Urdu |

shayari.jpg

Main lafzon mein kuch bhi izhar nahi karti
iska matlab ye nahi ke main tujhe pyaar nahi karti,

Chahti hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti..

51

Urdu |

Recommended for You »

  1. कुर्बानियां ज़ाया ना होंगी उमर फयाज और रमज़ान की चंद ..
  2. I Was Waiting Eagerly For This Day And See Finally It ..
  3. Hui Muddat Ki Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai Woh ..
  4. ਪ੍ਰਮਾਤਮਾ ਦੇ ਘਰ ਦੇਰ ਜਰੂਰ ਆ ਪਰ ਅੰਧੇਰ ਨਹੀਂ ..
  5. 10 People Beating A Sardaar But He Was Laughing A Man Asked Why ..
  6. He Who Rides A Tiger Is Afraid To Dismount Chinese ..
  7. The Wise Are Wise Only Because They Love The Fool Are ..
  8. Ek Aurat Ne 5 Saal Ke Bache Ko Cigaret Pite Dekha ..
  9. Santa Apne Baap Ki Death Par Bahut Roya Fir Uski Sister ..
  10. Tum Milo Na Milo Milne Ka Gham Nahi Tum Pas Say ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.