10Faasle kurb ki pehchan hua karte hain
be sabab log pareshan hua karte hain
ye mumkin hai jahan toot kar chaha jaye
wahan bicharne ke imkan hua karte hain..
Urdu |
10Pata laga tera but-khaane mein na kaabe mein
Phire talaash mein teri kahan kahan se.. - Janaab Nawab Syed Mohammad Khan Rind
Urdu |
60Koi dikha ke roye, koi chupa ke roye
humein rulane wale, humein rula ke roye
marne ka maza to tab hai
jab qaatil bhi janaaze pe aa ke roye..
Urdu |
40Qatl hua mera yun kishto mein reh-reh kar
- Tahir Khan
kabhi qaatil badal gaya
kabhi khanjar badal gaya..
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
10Kya mazaa deti hai bijlee ki chamak mujhko Faraz
mujhse lipte hain mere naam se darne waale..
Urdu |
53इधर तुम और उधर तमाम थे
रंज यह की हम दरमियान थे।
Urdu |
00Rizzaq-e-do-jahan ke khazane ko kiya hua
Milta hai ghum woh bhi kisi ka diya hua..
Urdu |
00Phir paish-e-nazar surat-e-mehtab hai koi
ya meri nigahon mein naya khawab hai koi
yeh baat garaan khawab ko ab kaun bataye
tere liye is raat mein be-khawab hai koi
palkon pe jo roshan hai sar-e-sham-e-tamanna
woh ashk nahi gohar-e-nayaab hai koi
yeh sirf karishma hai meri chashm-e-talab ka
sehra mein kahan gulshan-e-shadaab hai koi
nawaqif-e-adaab-e- mohabbat ko khabar kya
kab se raah-e-umeed mein betaab hai koi..
Urdu |
64कुछ और तो नहीं मेरे गरीब दामन में,
अगर कबूल हो तो जिन्दगी दे दूँ ।
Hindi |
120Udasiyon ka yeh mausam badal bhi sakta tha,
woh chaahta to mere saath chal bhi sakta tha,
woh shakhs ke jise tu ne, chhorrne mein jaldi ki,.
tere mizaaj ke saanche mein dhal bhi sakta tha,
woh jald-baaz khafa ho ke chal dia werna,
tamam maslon ka koi hal nikal bhi sakta tha,
anaa ne haath uthaane hi na diye werna,
meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha,
tamaam umer tera muntazir raha woh ek shaks,
yeh aur baat ki woh rassta badal bhi sakta tha..
Urdu |
30Mohabbat ki imaarat gir gayi hai
koi malbe pe baitha ro raha hai
hawa patton se sir takra rahi hai
tere jane ka maatam ho raha hai..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Koi New Message Hai Kya ? Agar Hai To To Please DELETE Kar De Kyunki Bhejna ..
- Mom To Children Jo Meri Bat Manega Aur Mere Samne ..
- जीवन एक संयोग मात्र है सुख और दुःख कर्मवार आते ..
- I Feel Alive And My Heart Starts Pounding The Moment I ..
- When We Were Kids We Couldn T Wait To Grow Up ..
- Toughest Moments Of Life Are Not Those When Tears Come Out ..
- Seene Mein Dil Dil Mein Dard Dard Mein Yakin Yakin Mein Khayal Khayal Mein ..
- Man Masters Nature Not By Force But By Understanding Jacob ..
- Height Of Challenge In An Exam A Student Just Writes One ..
- In Zen We Don T Find The Answers We Lose The Questions ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.