11Hum ne kaha agar bhool jao humein to kamal ho jae
Hum ne to faqat baat ki, tum ne kamal kar diya..
Urdu |
11Mujh se hogi nahi duniya yeh tijarat dil ki
main karun kya ke mera zehan hai khawabon waala..
Urdu |
11Fasal-e-khizan main phool khushi ke kihlaaye hain
hum intahay-e-karab main bhi muskuraye hain
saabit kadam rahe hain masayeb ke ru-ba-ru
hum imtehaan-e-zeesat main awwal hi aaye hain..
Urdu |
20Hum ek umar se wakif hain ab na samjhao
Ke lutaf kya mere meharbaan sitam ke hain..
Urdu |
10Yeh aise hi nahi ban jaate hain sher
aise hi nahi ho jaati hai shaayari
inke peeche hoti hain kuch unsuni kahaaniyan
hoti hain inke peeche kuch bebas zindgaaniyan..
Urdu |
30Bana diya hai zamaane ne dil ko patthar kaa
sataaye koii bhii mujh ko rula nahiin sakataa..
Urdu |
00Pehlu mein yaar, haath mein jaam sharab ho
Itna bhi aasman ko nahi hai samaa pasand.. - Saba Lakhnavi
Urdu |
00Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz Lakhnawi
Urdu |
40Rahon ki zehmaton ka tujhe kya saboot doon
manzil mili to paon ke chhale nahi rahe..
Urdu |
61Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare,
main tujhko bhool ke zinda rahun khuda na kare..
rahega saath tera zindagi bankar,
yeh aur baat meri zindagi wafa na kare..
yeh theek hai koi marta nahi judaai mein,
khuda kisi ko kisi se magar pyaar juda na kare..
agar wafa pe bharosa rahe na duniya ko,
to koi shaks muhabbat ka hausla na kare..
suna hai unko muhabbat duaayein deti hai,
jo dil pe chot khaayein magar gila na karein..
zamaana dekh chuka hai parakh chuka hai,
'katil' jaan se jaaye magar iltajaa na kare.. - 'Katil' Shifaai
Urdu |
20Mustaqil mujhi ko dekhti rehti hain
apni nazar pe zara nazar rakhiye janaab..
Urdu |
30Maine dushman ko bhi ahsaas-e- mohabbat bakhsha
Merey apne Mujhe Nafrat ki saza dete hain..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- मस्तिष्क का सदुपयोग करने से विपत्तियों पर अंकुश लगा रहता ..
- रिश्तों की एहमियत बताते हैं फासले मगर थोड़ा तड़पाते भी हैं ..
- The Arc Of My Life Can Only Become Circle When A Special ..
- The Notepad Of Our Life May Not Be Backspaced But Yes ..
- Jo Mera Hai Main Kisi Aur Ko Kyun Doo Main Apni ..
- Some Things I Like About U 1 ______ 2 ______ 3 ______ 4 ______ 5 ..
- Santa Underwear Lene Gaya Dukaandaar Ne Usko Rs 500 Ka Underwear ..
- Mungfli Di Khushbu Te Gur Di Mithaas Makki De Roti Te ..
- Duniya Mein Sirf 7 Cheez Famous Hai Bole To 7 Wonders 1 ..
- Only Two Things Are Infinite The Universe And Human Stupidity And I M ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.