Har lafz ko hakayat banaya
Har manzar mein tujhe paya
Khawaishon ke sahil par
Ek poudha yaadon ka lagaya
Phir bhi Tamaam umar humne
Apni rooh ko payasa paya..

30

Urdu |

mani_46_shayari.jpg

Dil se roye magar honthon se muskura baithe
yun hi hum kisi se wafa nibha baithe
woh humein ek lamha na de paaye apne pyaar ka
aur hum unke liye zindagi lutaa baithe..

- Lavanya Yadav
30

Hindi |

Mana ki is zameen ko na gulzaar kar sake,
kuch khaar kam hi kar gaye guzre jidhar se hum..

00

Urdu |

Hum nahi ae baad-e-saba teri karam ke mohtaaj
hum to khushbu hain bikharne ka hunar rakhte hain..

20

Urdu |

Kya mazaa deti hai bijlee ki chamak mujhko Faraz
mujhse lipte hain mere naam se darne waale..

10

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Kiya sada dilee hai keh giriftaar-e- mohabbat
Karte hain qafas main par-o-parwaaz ki baatein..

00

Urdu |

Aye mere humnashin ab kahin aur chal
iss chaman mein humara guzara nahin
baat hoti gulon ki to seh lete hum
ab to kanton pe bhi hak hamara nahin

ji mein ata hai ki tera sazda karun
iss tarhan maine tujhko pukara nahin
thokarein yun khilane se kya fayda
saaf kehdo ki milna gavara nahin

ehle gulshan ko khoon ki zarurat padi
sabse pehle humari gardan kati
phir bhi kehte hain humko ye ehle chaman
ye chaman hai humara tumhara nahin

aaj aaye ho kal tum chale jaoge
ye mohabbat ko apni gavara nahin
umr bhar ka sahara bano to bano
char din ka sahara sahara nahin

zalimon apni kismat pe nazan na ho
daur badlega ye waqt ki baat hai
wo yakinan sunega sadayein meri
kya tumhara khuda hai humara nahin

- zalimon

21

Hindi |

शेयर बाजार में कीमत उछलती गिरती रहती है
मगर ये खून ऐ इनसान है कभी महंगा नहीं होगा..

- Vikas Umrao
10

Hindi |

Woh bhi ajeeb shakhas tha ke jiss ki zaat par
jab aitbaar badh gaya to ekhtiaar na raha..

22

Urdu |

Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaaoonga..

24

Hindi |

Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke..

00

Urdu |

shayari.jpg

Kissi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aayi
Main ghar main sabse chota tha mere hisse meinn Maa aayi..

20

Urdu |

Recommended for You »

  1. F Field Of Love R Root Of Joy I ..
  2. Ulfat Ke Yeh Jalwe Kabhi Dekhe Nahi Humne Haan Dekhna Ek ..
  3. Necessity Can Change A Lion Into A Fox ..
  4. मुझे मौत के आगोश से ना बुलाना हमदम जहन्नुम में ..
  5. Be The Wind That Just Not Passes Through A Tree But ..
  6. बहुत पानी बरसता है तो मिट्टी बैठ जाती है न रोया ..
  7. Dil Ki Dunya Kuch Is Tarha Ujri Aamir Usne Dard Ka ..
  8. Saaki Jaam Bhar Ke Naa Laaya Kar Chalak Jaayega Isme Ruswai Teri ..
  9. Last Night I Had A Dream I Was Walking Along On ..
  10. Even If Fed Milk A Snake Will Still Emit Poison ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.