20Jo mere pyaar mein shiddat thi kal, woh aaj nahi
tumhara weham hai aur weham ka ilaaj nahi..
Urdu |
10Kitne anjaan tabiyat ke hain mere chaahne waale, wasi
jab tak hum na puchein haal, woh hum se baat hi nahi karte..
Urdu |
65हवा का काम है जलते चिरागों को बुझाने का,
हमारा फर्ज है अंधियारे में दीपक जलाने का,
हमें महसूस करना हो तो आंखें बंद कर लेना,
पता कुछ भी नहीं होता फकीरों के ठिकाने का
- दीपक गुप्ता, फरिदाबाद (हरियाणा)
Hindi |
00Tujh se bichar ke hum bhi mukaddar ke ho gaye
Phir jo bhi darr mila hai ussi darr ke ho gaye..
Urdu |
20Mere kabile mein kiss-se sunae jaate hain
naseeb bante nahi banaye jaate hain
baar baar batati hain ye aandhiya humein
charagh bhujte nahin bhujaye jaate hain..
Urdu |
130Tamaam umar mein har azaan ke baad
ik imtihaan se guzri hun main har imtihaan ke baad
khuda kare ke kahien aur gardish-e-takdeer
kise ka ghar na ujre mere makaan ke baad..
Urdu |
10Yeh aise hi nahi ban jaate hain sher
aise hi nahi ho jaati hai shaayari
inke peeche hoti hain kuch unsuni kahaaniyan
hoti hain inke peeche kuch bebas zindgaaniyan..
Urdu |
10Mohabbaton ki ye waardatein koi sunega to kya kahega
yeh behki-behki humari baatein koi sunega to kya kahega
raqaabaton ki qayaamaton se khandarein tabdeel ho rahi hain
humari chaahat ki kaa-e-naatein koi sunega to kya kahega
tumhare khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
yeh ankahi si tumhari baatein koi sunega to kya kahega
hum hi hain mazloom hum hi hain zaalim hum hi hain maqtool hum hi hain qaatil
hum hi hain mohre hum hi hain baesatein koi sunega to kya kahega
tere tasavvur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon mein
beghair dhole ki ye baaraatein koi sunega to kya kahega
Urdu |
257Yeh parda-dari hai ya tamasha, mujhi mein reh kar mujhi se parda,
Tabaah karna agar hai mujhko naqab utha aur tabaah kar de..
Urdu |
24Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaaoonga..
Hindi |
30Jee bhar ke roye to karaar paya
iss daur mein kisne sacha pyaar paya
zindgi guzar rahi hai imtihano ke daur se
ek zakham bhara nahi ke dusra taiyaar paya..
Urdu |
01Dil ke rag-rag nicchod lete hain
Ishq main yeh badi museebat hai..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- Khote Sikkon Mein Kar Baithe Yeh Sauda Rishi Unke Chehre Se ..
- Unki Yaadon Mein Sab Kuch Bhulaaye Baithe Hain Chiraag Khushiyon Ke ..
- Guzre Hue Kal Ki Yaad Aati Hai Kuch Lamho Se Aankhein ..
- Not Everything That Is Faced Can Be Changed But Nothing Can ..
- Mithaayian Ho Over Flow Masti Ho Kabhi Na Low Rang Aur Gulaal ..
- Ek Aadmi Kabristan Se Guzar Raha Tha Achanak Uski Nazar Ek ..
- Na Jane Kyon Raet Ki Tarha Nikal Jaate Hain Haathon ..
- Jinhe Aana Hai Woh Khud Laut Ke Aayenge Tere Pass ..
- Mana Ki Is Zameen Ko Na Gulzaar Kar Sake Kuch Khaar ..
- Santa Dr Main Subha 9 Baje Uth Ta Hun To Mujhe Saana ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.