40Kabhi zindgi se gilla ker ke roe
kabhi maut ki hum dua ker ke roe
ajab silsila hay namaz-e- mohabbat
qaza ker ke roay, ada ker ke roay..
Urdu |
00Mere khawabon ka har naqsh mita de koi
sookhe patton ka yeh dhair jala de koi
meri pehchaan ka ik shakhs is sheher mein hai rehta
main bhi zinda hun zara uss ko bata de koi..
Urdu |
51Kisi tarang kisi serkhushi mein rehta tha
ye kal ki baat hai dil zindagi mein rehta tha
bas ek shaam khamoshi se toot gaya
humein jo maan teri dosti per rehta tha..
Urdu |
00Majboor na hote jo tabiyat se Zaheer! Aah
Ghar ghair ke kyun dekhne jaate teri surat.. - Qazi Mohammad Zaheeruddin Zaheer Lakhnavi
Urdu |
51Meri qabar pe woh rone aaya hai
humsy pyaar hai ye kehny aaya hai
jab zinda the to rulaya bahut usne
ab hum aaram se soye hain to jagaane aaya hai..
Urdu |
20Yaadon ke haashiye bhi ahem hain buhat Mohsin
deemak lagi kitaab ko aahisata kholiye..
Urdu |
11Maine us-se poocha ke dhoop mein baarish hoti hai
Woh hanste-hanste rone lagi aur dhoop may baarish hone lagi..
Hindi |
50Roothe hi rahein mujhse ye manzoor hai lekin
yaaron usse samjhao mera shehar na chore..
Urdu |
01Kuch aise dost meri nighah mein hain qatil
ke mujh ko jis se baaz rakhein khud usi pe marte hain..
Urdu |
20Naamaabar tu hi bataa tune to dekhe honge
kaise hote hain vo khat jinka jawaab aataa hai..
Urdu |
50Yun tera intezaar karta hun
jaise main tujhko yaad hun ab tak..
Urdu |
00Theher-theher ki bahut dilkusha hai yeh manzar,
zaraa main dekh to lu taabnaki-e-shamsheer..
- IqbalDetails:
taabnaki-e-shamsheer - shine of sword (talwaar ki chamak)
Urdu |
♥ Recommended for You »
- My Manner Of Living Is Plain And I Do Not ..
- Troubles As Light As Air Love As Deep As Ocean Friends As ..
- Khuda Nahi Chaahiye Ram Nahi Chaahiye Nazar Mein Khauf Zubaan Zeher Nahi ..
- It Is Very Important To Know Who You Are To Make ..
- The Drama Of Life Begins With A Cry And Finishes Off ..
- To Stop Without Knowing How It Stops This Is Dao ..
- Santa Was Driving A Car Zigzag And Rashly Traffic Cop Caought ..
- Mujhe Tum Rooh Me Basa Lete To Acha Tha Faraz Dil O Jaan ..
- Grown Men Can Learn From Very Little Children For The ..
- Har Pal Har Waqt Har Din Har Lamha Har Aahat Har Ehsaas Aur Dil Ki ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.