20Majrooh! Likh rahe hai voh ahl-e-vafa ka naam
Ham bhi khade huye hai gunahgaar ki tarah.. - Majrooh Sultanpuri
Urdu |
30Sau phool kam hain dulhan ko sajaane ke liye
Ek phool kaafi hai kabar pe lagane ke liye
Sau khushiyan kam hain ek gham ko bhulaane ke liye
Ek gham kaafi hai saari umar rulaane ke liye..
Urdu |
40Yeh raaste bhi ajeeb hote hain
bas apne apne naseeb hote hain
rehte hain jo nighahon se door
woh hi dil ke bahut kareeb hote hain..
Urdu |
20Mujhe pasand tha har jhooth usske honton se
Woh sach na bolta mujh se tau kitna accha tha..
Urdu |
30
Urdu |
11Yeh to sach hai ke sar-e-koocha-o-bazaar bike
yeh bhi sach hai ke tere naam pe har baar bike
apni auqaat to ek jins-e-giraan si bhi na thi
tere kooche main to aa aa ke khareed-daar bike..
Urdu |
20Lehron se milkar na woh beh sake na hum
ek dooje ke dil mein na woh reh sake na hum
jeet lete aasma ek din lekin, palkon ki khamoshi ko
honto se na woh keh sake na hum..
Urdu |
00Zindagi tujh se har ik saans pe samjhauta karun
shauk jeenr ka hai mujh ko magar itna to nahi..
Urdu |
30Hum sa aehl-e-dil tujhe kahan milega
jo tere sitam bhi sahe aur tujhe dua bhi de..
Urdu |
10Mohabbaton ki ye waardatein koi sunega to kya kahega
yeh behki-behki humari baatein koi sunega to kya kahega
raqaabaton ki qayaamaton se khandarein tabdeel ho rahi hain
humari chaahat ki kaa-e-naatein koi sunega to kya kahega
tumhare khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
yeh ankahi si tumhari baatein koi sunega to kya kahega
hum hi hain mazloom hum hi hain zaalim hum hi hain maqtool hum hi hain qaatil
hum hi hain mohre hum hi hain baesatein koi sunega to kya kahega
tere tasavvur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon mein
beghair dhole ki ye baaraatein koi sunega to kya kahega
Urdu |
86न जान नादाँ इन्हें शज़र-ए-गुलिस्ताँ
ये आशिक़ हैं रुसवाई के
मुददत से इज़्हार-ए-इक़रार की
उम्मीद -ए-इंतेज़ार में ..
Urdu |
00Bebas kar deta hai kaanoon-e- mohabbat mujhe
warna tujhe itna chahun ke inteha kar dun..
Urdu |
♥ Recommended for You »
- If I Subtract My Scores Then Yes All My Teachers Were ..
- It Is An Ill Bird That Fouls Its Own Nest ..
- Tumse Dooor Jaane Ka Iraada Na Tha Par Saath Rehne Ka ..
- Zaroorat Hi Nahi Hai Alfaaz Ki Pyaar Cheez Hai Bas Ehsaas ..
- When We Can’t Dream Any Longer We Die Goldman ..
- Response Is One Of The Most Powerful Weapon To Occupy ..
- A Nod To The Wise A Rod To The Fool ..
- Shoemaker Not Above The Sandal ..
- Feeling Is A Painting Never Spoil It Face Is A Book Try To ..
- It Is Now Proved Beyond Doubt That Smoking Is One Of ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.