75Aansuon ko bohut samjhaya ke yun na aya karo,
mehfil mein hamara mazaak na udaya karo,
is par aansu bole mehfil mein tumhe akela paate hai,
isi liye chale aate hai.
Hindi |
80Woh humein bhoolane ki baat karte hain,
zaraa poocho woh humein kab yaad karte hain,
jo karte the kabhi humse pyaar hone ka daava..
aaj akele rehne ki baat karte hain.
Hindi |
71Maikhaane mein jaam toot jaata hai,
ishq mein dil toot jaata hai,
na jaane kya rishta hai in dono mein,
jaam toote to ishq yaad aata hai..
dil toote to jaam yaad aata hai..
Hindi |
64Tanhaai na paaye koi mehfil ki raat ke baad,
judaai na paaye koi kisi ke saath ke baad,
na pade kisi ko aadat kisi ki itni..
ki har saans bhi aaye uski yaad ke baad.
Hindi |
30Ghaav itne gehre hain bayaan kya karein,
hum khud nishana ban gaye waar kya karein,
jaan nikal gayi magar khuli rahi aankhen,
ab iss see zyada unka intezaar kya karein..
Hindi |
61Ek kahani hazaaro saal purani,
husn aur mohabbat gehre dost the,
ek din dono saath mein baithe the,
k chaand nikal aaya,
itne mein mohabbat ne chaand ki taarif karni shuru kar di,
yeh baat husn ko achchi na lagi
aur usne mohabbat ki aankhe noch li,
tabhi se mohabbat andhi aur husn zaalim ho gaya.
Urdu |
61Haathon se gir gayi lakeer kahin,
bhool gaye hum apni taqdeer kahin,
agar tum ko mile kahin to uthaa lena,
mere hisse ki khushiyaan apne haathon mein sajaa lena.
Hindi |
32Na gila hai koi halat se
na shikayat kisi ki zaat se
khud hi saare warq juda hue
meri zindagi ki kitaab se..
Urdu |
30Chirag se na pucho baaki tel kitna hai,
sanso se na pucho baaki khel kitna hai,
pucho us kafan mein lipte murde se,
zindagi mein gam aur kafan mein chain kitna hai..
Hindi |
40Yeh chaand bhi dekho kya ajeeb sitam dhaata hai,
bachpan mein yeh mama
aur jawaani mein sanam nazar aata hai,
kehne ko to hain chaand mein daag bahut,
aashiqo ko fir bhi sunder nazar aata hai,
chup jaata hai jab bhi yeh baadlo ki oat mein,
deedar-e-husn paane ko har ek machal jaata hai,
laakho taaro se bhari hai aasmaani chaadar phir bhi,
chaand to har dum tanha hi nazar aata hai.....
Urdu |
40कितना इख्तियार था उसे अपनी चाहत पर
- Mashqoor Ahmed
जब चाहा याद किया , जब चाहा भुला दिया
बहुत अच्छे से जानता है वो मुझे बहलाने के तरीके
जब चाहा हँसा दिया , जब चाहा रुला दिया ..
Kitna ikhtiyaar tha use apni chahat par
jab chaha yaad kiya, jab chaha bhula diya
bahut achche se janta hai woh mujhe behlane ke tareeke
jab chaha hasa diya, jab chaha rula diya..
Hindi |
120Meri zindagi ke is mod pe ye kaisa waqt aaya hai,
zakhm is dil ka zubaan pe aaya hai,
nahi rote hum kaanto ki chubhan se,
aaj kisi ki yaad ne humko itna rulaaya hai.
Hindi |
♥ Recommended for You »
- Subah Hote Hi Jab Dunia Aabaad Hoti Hai Aankh Khulte Hi ..
- Pyaar Mein Mila Har Gham Udhaar Hota Hai Pyaar Woh Hota ..
- They Had Had Their Usual Altercation Over The Breakfast Table ..
- Agar Aap Kahin Jaldi Mein Jaa Rahe Hain Aur Kaali Billi ..
- Kati Hai Raat To Hungama Gustari Mein Teri Seher Kareeb Hai Allah ..
- If One Man Can Destroy Everything Why Can’t One Girl Change ..
- Tumhein Khabar Hi Nahi Ke Koi Toot Gaya Mohabbaton Ko Bahut ..
- Snehathinteyum Aishwaryathinteyum Sambalsamrudhiyudeyum Orayiram Ponnonashamsakal Happy Onam To You And Your Family ..
- CBSE का Paper Leak होना अजी बेगुनाहों से जानिये कि दुष्वार ..
- मिसाल दे रहे हैं वो मेरे नाम की और हम ..
लाल बूढ़क्की छू..
anagram quiz
About Us
Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.
The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..
What's more
Quality Improvement Initiative
On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.
You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.