उठ उठ के मस्जिदों से नमाज़ी चले गए,
दहशतगरों के हाथ में इस्लाम रह गया..
- निदा फाजली

61

Hindi |

mani_46_shayari.jpg

Aap bharam he sahi baat to kar lein humse
kuch na kehne se mohabbat ka gumaan hota hai..

10

Urdu |

Mohabbaton ki ye waardatein koi sunega to kya kahega
yeh behki-behki humari baatein koi sunega to kya kahega

raqaabaton ki qayaamaton se khandarein tabdeel ho rahi hain
humari chaahat ki kaa-e-naatein koi sunega to kya kahega

tumhare khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
yeh ankahi si tumhari baatein koi sunega to kya kahega

hum hi hain mazloom hum hi hain zaalim hum hi hain maqtool hum hi hain qaatil
hum hi hain mohre hum hi hain baesatein koi sunega to kya kahega

tere tasavvur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon mein
beghair dhole ki ye baaraatein koi sunega to kya kahega

10

Urdu |

Taluq ab yahan kam hai mulaqatein hain bahut zyada
hajoom-e-shehar mein har shahks tanha ho gaya hai
main tujhse saath bhi to umar bhar ka chahta tha
so ab tujh se gila bhi umar bhar ka ho gaya hai..

10

Urdu |

mani_47_shayari.jpg

Koi aankhon aankhon se baat karta hai
koi aankhon aankhon mein mulaqat karta hai
mushkil hota hai jawab dena
jab koi khaamosh reh kar sawal karta hai..

70

Urdu |

Kadam ruk se gaye hain aaj phool biktey dekh kar
woh aksar mujh se kehta tha mohabbat phool jaisi hai..

12

Urdu |

Har lafz ko hakayat banaya
Har manzar mein tujhe paya
Khawaishon ke sahil par
Ek poudha yaadon ka lagaya
Phir bhi Tamaam umar humne
Apni rooh ko payasa paya..

30

Urdu |

Mohabbat mein Jigar guzre hain aise bhi maqam aksar
Ke khud lena padha hai apne dil se inteqaam aksar.. - Jigar Moradabadi

30

Urdu |

Jab log hi jazbon ki touqeer nahi kerte
hum bhi koi dukh apna tehreer nahi kerte
dil cheer jaata hai lehje ka ye rookha-pan
karti hai zubaan wo kuch jo teer nahi karte..

71

Urdu |

Lahaq hai yahan marz muhabbat ka sabhi ko
is shehar ke logon mein waba aam bohat hai
har darja sharafat ka libada hai orha
aur dil mein haqarat ki bala aam bohat hai
rishton ke yahan paas to rakhte hain sabhi par
hairat hai ke lutne ki sada aam bohat hai
daawa hai ke har fard wafadaar hai yahan
hai darj kitabon mein jafa aam bohat hai
tum naik tamannaein to rakhte ho bahut Qateel
is shehar mein naiki ki saza aam bahut hai..

20

Urdu |

shayari.jpg

Ss ki qurbat main kuch nahi kaha maine
takti reh gai mujhko chandni sard raaton ki..

01

Urdu |

Recommended for You »

  1. मंडियों में क्यों हर साल हज़ारों टन गेहूं बारिश में ..
  2. Learning Is A Weightless Treasure You Can Always Carry Easily ..
  3. A Carpenter Was Working On A Building He Was On The ..
  4. Dost Aksar Yun Hi Ban Jaate Hain Kuch Saath Rehte Hain ..
  5. आज गुब्बारे उड़ नहीं पड़ रहे हैं दोस्तों मेहमानों ..
  6. Sirf Sirf Sirf Sirf Sirf Sirf Sirf Disturb Karna Tha ..
  7. I Knew I Was An Unwanted Baby When I Saw That ..
  8. Result Agar Achha Ho To Teacher Hoshiyar Bachcha Hai Maa Bhagwaan Ki ..
  9. Kamyabi Badi Nahi Hoti Panewale Bade Hote Hain Darar Badi Nahi Hoti Bharne ..
  10. Namaskaar Aaj Ki Taazaa Khabar Newspaper Mein Hai So Plz Carry On GOOD MORNING ..

Share & Let Everyone Read









Draw shape below and click submit button to send us your message:
आओ खेलें

लाल बूढ़क्की छू..

anagram quiz

About Us


Our logo expands to iOLdot - Ik Oankaar Lazeez Dimension of Texting which tries to reflect our ideology.

The purpose of this website is to develop a Dimension to Texting through the Aesthetics of Words by providing Unique, Decent, Pleasant, Pure, Gentle, Clean, Refined, Inoffensive Thought Provoking Wisdom Quotes, Funny Jokes, Shayari, Motivational SMS, Greetings, Wishes, Proverbs, Dohe, Love Messages & much more.. We also encourage you to be part of this journey & share your creative content with us. Play your flute here..



What's more


moderated-content-kids-safe

Moderated Content

Safe for people of all Age Groups including Children.
sms-api-always-win

API

Display SMS on your Website or Blog at Zero Cost.
rate-content

SMS Rating

Gives You Power to Rate Content.
« Stay In Touch »

Quality Improvement Initiative

Quality Improvement Program

On September 13, 2015 we took an initiative towards delivering high quality content. With every Lazeez SMS you will find two thumbs - one for upvote and one to downvote.

Sample thumb screenshot

You can cast your vote simply by clicking on the thumb icon.